Hardware Kya hai
Computer me ek processer hota hai jisse dusre device aapse me connect rahte hai. In sabhi devices ko hardware kaha jaata hai. Computer ke hardware ko do part me divide kiya gaya hai first Input and second output.
Computer ko chalane ke liye Hardware ki bahut jarurat padti hai jaise ki Keyboard, mouse, Sound, printer, Motherboard, CD/ DVD Drvice,Hard disk etc. Ab jo new computer aa rahe hai usme normal and complex dono prakar ke component hote hai.
Monitor- Monitor ka main purpose yeh hota hai Output ko Display karana aur isse display unit bhi kaha jaata hai. Moniter kisi bhi Video or Image ko Pixel unite me dikhata hai. Moniter Alag Alag Size ke market me aapko badi aasani se mil jaayenge.
CPU (Center Processing Unit) – CPU computer ka important part hota hai aur ise Computer ka Brain or Mind kaha jata hai. CPU ko Microprocessor or Processor bhi kaha jaata hai. CPU ka computer me kaam hota hai kisi bhi data ko process karna, Data Save or Store karna etc. Computer ki speed CPU par depend karti hai Yadi computer ka Processort kam hai to computer Slow chalega. Isiliye Jab bhi koi Computer buy kare to Dhyan Rakhe ki Computer ka Processort achcha ho.
Computer ke Processor Kuch Is Prakar se hai-
- Dual Core
- Core2due
- Core2qurd
- i3 Processor
- i5 Processor
- i7 Processor
Computer Hard disk Kya hai
Computer ki hard disk mobile ki memory jaise hoti hai. Jaise hum memory me songs, images, aaps store karke rakhte hai theek issi prakar se Computer ki Hard disk bhi Data ko store karti hai.
Hardisk ki price usko Storage Capacity par depend karti hai pahle kewal 150 Gb ki hard disk aati hai lekin ab 500 Gb se 2 TB ki hard disk market me mil rahi hai.
Hard Disk ko Do part me divide kiya gaya hai.
- Internal Hard Disk
- External Hard Disk
CD or DVD Drive – Computer me CD or DVD play karne ke liye CD or DVD Drive ho jaruri hai. CD or DVD Drive ka ek aur use hai kisi bhi Application ko Computer me install karne ke liye.
Yadi Ek computer se dusre computer me data transfer karna hai to hum CD or DVD Drive ki help se Data transfer kar payenge.
Visit on Hindi Me Post for more post.